Welcome Our all Friends
Hello Friends, Is article me blogging se related jankari share ki gayi hai. Jaise ki aap jante hoge. Aaj blogging kitna popular hota ja raha hai. Jo bhi people internet se earning karna chahata hai. Vo blogging start karta hai. But, Blogging me bahut kam people success ho pate hai. Many Blogger blogging me success nahi ho pate hai. Aur vo blogging ko chhor dete hai. Yaha Pe aap un reason ke bare me janege. Jo yadi aap Blogging ki journey Me galtia Karte hai. To aap blogging me success nahi payege. Aur yadi aap In Galtio Ko sudhar le jayege. To aapko blogging me 100% Success Milega.
Beginner Blogger Traffic Na Badha Pane Ke Top 6 Reason
Jaise ki aap sabhi jante hoge. Aaj internet pe Aise bahut se blogger hai. Jo apne blog pe blogging se related jankari share karte hai. Yadi ham us jankari ko read karege. To hame kaphy kuchh sikhne ko milega. But, Ye bilkul sach nahi hai. Ki sabhi blogger hame right jankari provide karte hai. Jaha Tak mai janta hoo. Kuchh Blogger hame wrong jankari bhi dete hai. Jiski vajah se ham confuse bhi ho jate hai. To aap is Post me sari jankari ke bare me janege.Aap kisi bhi platform pe blogging karte ho. Chahe vo blogger ho ya wordpress isase koi matalab nahi hota hai. Blog ki traffic increase karna ye sab aap per dipend karta hai. Bahut se Blogger kahte hai. Ki yadi aap blogger platform per apna blog chala rahe hai. To aapke blog pe traffic nahi aayegi. Aur aap ek successful Blogger nahi ban sakte hai. To aisa kuchh bhi nahi hai. Aap Lagan se yadi blogging karege. To sab kuchh hoga. So, Yadi aap blogger per blogging kar rahe hai. aap hosting nahi le sakte hai. To aap apne blog ko blogger platform per rakhe yaha Se bhi aap achhi income kar sakege. Aur aap traffic bhi blogger per hi increase kar sakte hai.
Kuchh blogger Apne blog pe 50-60 Article likhte hai. Aur phir ve kahte hai. Ki traffic nahi aa raha hai. Aur vo traffic badhane ke peechhe par jate hai. Ve apne blog pe fucus nahi kar pate hai. So, Aapke liye jyada achha hoga. Ki aap apne blog pe pahle 300-400 Article likh le. Aur ushke baad aap apne blog ki traffic badhane ke peechhe Pare. Yadi aap apne blog pe 300-400 Article likh lete hai. To aapke blog ki traffic Khud Badh jayegi. Aur phir aapko jyada mehanat bhi nahi karni padegi.
Starting me Blogging ke samay me kuchh jankari hame nahi pata hoti hai. Aur ham kuchh Important Step Ignore Kar dete hai. Ya hame in step ke bare me pata nahi chal pata hai. To hamare blog ki traffic Ke liye sabse jaruri hota hai. Ki hame apne blog ko google search engine me Submit karna. Yadi aapne apne blog ko abhi tak google search engine me submit nahi kiya hai. To aap jaldi se kar le. Taki aapke blog ki post jaldi se Google search engine me aa sake. Aur aapke blog ki traffic Badh sake.
Hame apne blog ke liye ek Topic choose karna chahiye. Jispe ham blogging kar sake. Ye hamare liye sabse important method hota hai. Actually, Starting me ham blogging to start jar dete hai. Aur ham sabhi tarah ke article apne blog pe share karne lagte hai. To ye bilkul galat hai. Hame apne blog ke kiye ek Topic choose karna chahiye. Usi Topic pe hame apne blog ke article likhne Chahiye. Jisase hamare blog ke regular reader bhi milte hai. Ye sabse important step Hai.
New blogger yahi sochte hai. Ki Jaldi se Jaldi hamara adsense approved ho jaye. Aur ham achhi income karne lage. To aisa bilkul bhi sahi nahi hai. Jab tak aape blog pe achhi traffic nahi hogi. Tab yak aap adsense se income bhi nahi kar payege. Aur kam traffic me hamara adsense approved bhi nahi hota hai. Aur yadi hamara adsense approved ho jata hai. To hamari income nahi hoti hai. Aise me hamara adsense disapprove bhi ho jata hai. Vaise aise hota nahi hai. But, Bahut se blogger ye bhi kahte hai. Ki hamara kam traffic Ki vajah se disapprove Ho gaya. So, Aap pahle apne blog pe 40-50 Article tak likh le. Ushke baad apne blog ka adsense approved kare. To aapka adsense bhi easy approved ho jayega.
Kuchh blogger Doosre ke blog ka copy bhi karte hai. To ye bikul galat hai. Aap kisi bhi blog ko copy na kare. Yadi aap aisa karte hai. To aapke blog pe traffic to bilkul bhi nahi aayegi. Sath me aapke blog ko google search engine se remove bhi kar dega. Ayr yadi aapka Blog Blogger per hai. To aapke blog ko bhi Google delete kar dega. So, Aap Unique article likhe. To aapke blog pe achhi traffic Aayegi.
Yaha Pe blogging se related jo bhi information de sakta tha. Vo sabhi information aapke sath me share ki. Ishke alava hamare blog pe aapko blogging se related information milti Rahegi. Yadi aapka Koi question hai. To aap comment me jarur Poochhe.