Bittrex Pe Trade Kaise Start Kare

                                 Welcome Our All Friends


Hello friends Yaha pe Bittrex Ke bare me information sare ki gayi hai. Ki Aap bittrex pe trade kaise kar sakte hai. Yadi aap kisi anya Exchanger pe trade karte hai. Aur aap bittrex Pe trade karna chahate hai. To aap kar sakte hai. But, Yadi aapne abhi tak kahi bhi trade nahi ki hai. Aur aap trade karna start karna chahate hai. To aap Is Article ko pura read kare. Yaha Pe bittrex ke bare me sari information share ki gayi hai. Ki Aap ishpe account kaise bana sakte hai. Aur trade kaise kar sakte hai. 

Bittrex Pe Trade kaise Start Kare
Yadi aap bittrex pe trade karna chahate hai. To aapke pass btc hona jaruri hai. Tabhi aap yaha pe trade kar sakte hai. Yadi aap bitcoin me work karte hai. Aur hamare blog ke regular visitor hai. To apke pass to btc hoga Hi. But, Trade ke liye aapko kaphi knowledge ki jarurat honi chahiye. Because, Yaha pe Loss, Profit chalta rahta hai. But, Yadi aap ek beginner hai. To aap bittrex pe apna kam balance deposit kare. Aur jab trade sikh jaye. To aap apna aur bhi balance deposit kar sakte hai.

Sabse Pahle Aapko Ishpe apna account create karna hai. Ishke liye aap bittrex.com pe jaye
1. Ab aap Market pe click kar de.

                               

2. Ab Register Pe click Kare
                              
 Ab Aapke Samne Ek page open  hoga. Jishko fill karne apna account create kar le.

Jaise hi aapka account create ho jayega. Aap Bittrex Ke Dashboard Pe Pahuch Jayega. To aapka Vaha pe balance 0 Hoga. Sabse Pahle aapko apna balance deposit karna hai.

Note  Balance Deposit Karne Se pahle aap apna enhance Verification kar le. Aap apna verification passport, Identy Card, Adhar card, Driver Licence Se kar sakte hai. Yadi aap ishko verify nahi karte hai. To aap Aapna balance nahi nikal payege. Aur yadi aap apna balance pahle deposit kar dete hai. Aur ushke bad aap apna account verify karte hai. To kahi kuchh problem ho gayi. To bittrex Aapka Account Block, Disable bhi kar sakta hai. Kaphi logo ke account disable ho gaye hai. So, Aap Pahle Verify kar le. Yadi aapko verify karne ke bare me details nahi hai. To aap hamse comment pe puchh sakte hai. Ya mai article likh kar kuchh samay me yaha pe link add kar duga. 


3. Ishke Liye aapko Wallet Pe click karna hai. Phir Btc Me + Pe click karna hai. Aap Screen Shot Pe dekh sakte hai. (Aap Jo screen shot dekh rahe hai. Ye hamara demo account hai. Jo ki aapko step by step ke liye banaya hua hai. Original account me maine sabhi Option fil kar rakhe hai. So, Ye option vaha pe nahi aayege.)
                            


4. Ab Aapko New Wallet address Generate karna hai. Ishke liye aapko New Address Pe click Karna hai.
                                  

5. Ab aapka Wallet Address Mil Jayega. Aap Ushpe apna btc send kar de. Aapke Bittrex Account Me deposit ho jayege.
To ab aapka yaha pe Balance Deposit ho gaya hai.

Ab aapko Trade Start karni chahiye. To Aapko Batata hoo. Kaise Aap coin Buy/sell kar sakte hai.
                                 

6. Ab aapko Market pe click karna hai. Aur Sort By Option Me Volume Karna hai. Max Rows Me all select karna hai. Aapke samne sabhi coin aa jayegi. Yaha Pe aap jo bhi coin Buy, Karna chahate hai. To aap ushpe click kar de.
Note   Yadi aap Professional Trade karna chahate hai. To aap ek Se Do din tak coin ko dekhe aur samajhe ki aapko koun si coin buy karni chahiye aur koun si sell karni chahiye. Yadi aap stock karke rakhana chahate hai. To aap rakh sakte hai. 

7. Ab aap Koi bhi coin pe click kar de. Jishko aap Buy karna chahate hai.
Aap Screen Shot Me dekh sakte hai. Maine XRP on kar rakhi hai.

                            
 Ab aap dekhege. Ki aapke Samne Graph open hoga. Jo ki maine XRP ka on kar rakha hai.
1. Jaha Pe 30 Min Hai. Vo Ishka time hai. Aap kitne time ka Graph dekhana chahate hai.

2. Chart Me aap Changing kar sakte hai. Jaise ki Line, Candle, Key Heikien Ashi, Rakh sakte hai. Yaha Pe maine Candle On kar rakhi hai. Aap Dekh sakte hai. Chart Me Red, Green Candle hai.

3. Studies me apko sare Indicator mil jayege. Jo bhi aap use karna chahe. Vo kar sakte hai.
Yaha Pe Jo green Candle hai. To Price high ho raha hai. Jaha Pe Red candle hai. Price down ja raha hai.
Graph ke bare me yaha pe itani hi information de sakta hoo. Aur information bad me share karuga.

8. Ab aap Side Me dekhege. Aapko Xrp Ki kuchh price ke bare me details mil jayegi.
Example 24H Me Kitni Low Bid Lagi Hai. 24H me Kitni high Bid Lagi hai. Aur Real Price Kya Chal raha hai.
                                  

9. Ab aap Neeche Aayege. To yaha Se coin buy/Sell kar sakte hai. Dono Ke bare me Information deta hoo.


Bittrex Coin Buy

Aapko Yaha Pe Diya Gaya Screen Shot Aur neeche bataye Gaye step Fellow Karne hai.                        
                              



1. Aapko Kitni Coin Buy Karni hai. Vo dalna hai.
2. Aapko Kis Price me coin lena hai. Vo Dalna hai.
3. Ab aapko Total Amount Aa jayega.
4. Ab Buy Pe click kar dena hai.

Note Jo real price chal raha hoga. Vo dalege. To aapko mil jayegi. Yadi usase jyada dalege. To fast mil jayega. Yadi aap kam Price dalege. To apki Bid lag jayegi. Aur jab Price Low hoga to mil jayegi. Real Me Jo price chal raha ho. Aap usase Kuchh Kam dal sakte hai. Jisase price kuchh time me kam hoga. To coin mil jayegi.

Bittrex Coin Sell 

Ab Yaha Pe aap Janege. Aap Coin kaise sell kar sakte hai. Same vahi step hai. Aapko thora samajahan hai.
                                    

1. Aapki Kitni coin sell karna hai. Type kare
2. Price Dale
3. Total amount aa jayega.
4. Sell Pe click Kar de.


I Hope  Yaha Pe Bittrex  se Related di gayi information pasand aayi hogi. Yadi aap koi question karna chahate hai. To aap hame comment kar sakte hai. 

                              Thanks For Read This Article 

All free bitcoin earning ways Bitcoin faucet, mining Surf ads, faucethub, coinpot tutorial